tum agar sath dene kaa vada karo mai yu hee mast nagme lutata rahu tum mujhe dekh kar muskuratee raho mai tumhe dekh kar git gata rahu
kitne jalwe fijao me bikhare magar maine abb tak kisee ko pukara nahee tumko dekha toh najrein yeh kehne lagi hamko chehre se hatna gavara nahee tum agar meree najaro ke aage raho mai har ek shaiy se najrein churata rahu tum agar sath dene kaa vada karo
maine khwabo me barso tarasha jise tum vahee sange marmar kee tasvir ho tum naa samjho tumhara mukkadar hu mai mai samajhta hu tum meree takdir ho tum agar mujhko apna samajhane lago me baharo kee mehfil sajata rahu tum agar sath dene kaa vada karo