Yeh chaand sa roshan chehara Julfon ka rang sunehara Yeh zeel si neeli aankhein Koi raaz hai inme gehra Taarif karu kya uski Jisne tumhe banaya
Yeh chaand sa roshan chehra Julfon ka rang sunehara Yeh zeel si neeli aankhein Koi raaz hai inme gehra Taarif karu kya uski Jisne tumhe banaya
Ek cheez qayamat bhi hai Logo se suna karte the Tumhe dekh ke maine maana Wo thik kaha karte the Wo thik kaha karte the Hain chaal me teri zaalim Kuchh aisi bala ka jaadu Sau baar sambhala dil ko Par hoke raha bekaabu Taarif karu kya uski Jisne tumhe banaya
Yeh chaand sa roshan chehra Julfon ka rang sunehara Yeh zeel si neeli aankhein Koi raaz hai inme gehra Taarif karu kya uski Jisne tumhe banaya
Har subah kiran ki laali Hain rang tere gaalo ka Har shaam ki chadar kaali Saaya hain tere baalo ka Har subah kiran ki laali Hain rang tere gaalo ka Har shaam ki chadar kaali Saaya hain tere baalo ka Saaya hain tere baalo ka Tu balkhati ek nadiyan Har mauj teri angdaayi Jo inn maujon mein dooba Usne hi duniya paayi Taarif karu kya uski Jisne tumhe banaya
Yeh chaand sa roshan chehra Julfon ka rang sunehara Yeh zeel si neeli aankhein Koi raaz hai inme gehra Taarif karu kya uski Jisne tumhe banaya
Main khoj mein hoon manzil ki Aur manzil paas hain mere Mukhde se hata do aanchal Ho jaaye duur andhere Ho jaaye duur andhere Maana ke ye jalwe tere Kar denge mujhe deewana Jee bhar ke jara main dekhu Andaz tera mastana Taarif karu kya uski Jisne tumhe banaya
Yeh chaand sa roshan chehra Julfon ka rang sunehara Yeh zeel si neeli aankhein Koi raaz hai inme gehra Taarif karu kya uski Jisne tumhe banaya