Mere saamnewaali khidki mein Ek chaand ka tukda rehta hai) - 2 Afsos yeh hai ke voh humse Kuch ukhda ukhda rehta hai Mere saamnewaali khidki mein Ek chaand ka tukda rehta hai (Jis roz se dekha hai usko Hum shamma jalaana bhool gaye) - 1 Dil thaamke aise baithe hain Kahin aana jaana bhool gaye Ab aath paher in aankhon mein Voh chanchal mukhda rehta hai (Mere saamnewaali khidki mein Ek chaand ka tukda rehta hai) - 2 (Barsaat bhi aakar chali gayi Baadal bhi garajkar baras gaye) - 2 Par uski ek jhalak ko hum Ae husn ke maalik taras gaye Kab pyaas bujhegi aankhon ki Din raat yeh dukhda rehta hai Mere saamnewaali khidki mein Ek chaand ka tukda rehta hai Afsos yeh hai ke voh humse Kuch ukhda ukhda rehta hai Mere saamnewaali khidki mein Ek chaand ka tukda rehta hai Yudlei yudlei yea ee, yudlei yudlei aa Yudlei yudlei yea ee, yea Yu wohoo, yeah Yea yea ee, yea yea yeah Hey, yeaha!